bhar gae zakhm to kya dard to ab bhi koi hai aankh roti hai to rone ka sabab bhi koi hai pi gai ye meri tanhai mere dil ka lahu qatra-e-ashk pe ye jashn-e-tarab bhi koi hai maut se talkh hai shayad teri rahmat ka azab jis ko kahte hain ghazab aisa ghazab bhi koi hai roz gulshan mein yahi puchhti phirti hai saba tere phulon mein mera ghuncha-e-lab bhi koi hai us ke pahlu se bahut dur mere dil ke qarib aisa lagta hai ki baitha hua ab bhi koi hai jo alamat ho tere halqa-e-ushshaq ke bich tujh se nisbat ke liye aisa laqab bhi koi hai 'shahid' us silsila-e-ishq se wabasta hun jis mein khud 'mir' sa ek aali-nasab bhi koi hai