tu bhi ho jaega pani pani pyas hai meri purani pani rah ke sahra mein hara ho gaya main mujh mein bahne laga dhani pani kahti jati hai kahani koi teri har aan rawani pani tu to rahta hai meri aankhon mein tujh se kya baat chhupani pani pyas roke hue main baitha tha aur phir chikh utha pani pani main ne khincha tha hawa par koi lafz likhta hai jis ke maani pani meri aankhon se bhi ek bar nikal dekhun main teri rawani pani halq se zahr utarun 'athar' la mere dushman-e-jaani pani