dil agar kuchh mang lene ki ijazat mangta

dil agar kuchh mang lene ki ijazat mangta
ye mohabbat-zad tajdid-e-mohabbat mangta

waqt khud na-paedari ke liye mashhur hai
aise be-taufiq se main khak shohrat mangta

main ne sahra se tahayyur-khez hairat mang li
khak ho jata agar tahzib-e-wahshat mangta

dil ko khush aai nahin ye daulat-e-asudgi
aur kuchh mil jati to ye kuchh aur zahmat mangta

hain khudawandan-e-duniya hum tahi-daston se hech
dil ko hasrat thi to hum jaison se khilat mangta

ho gaya hota giran-goshon se gar maghlub main
kyun sukhan aaghaz karta kyun samaat mangta

kya tajjub tha ki is sauda-gari ke daur mein
khwab bhi tabir ho jaane ki qimat mangta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close