bhar jaane do zara mera zarf-e-jigar abhi zindan ka na kholna tum aa ke dar abhi utri hai pat pat pe pagal ruton ki dhup chundhiya rahi hai is liye meri nazar abhi muddat hui hai aatish-e-dil ko bujhe hue sanson pe hai magar wo dhuen ka asar abhi uthne ko ranj-o-gham ke bagule hain dhup mein sahra-e-chashm mein na bana rahguzar abhi ek laj hi nahin ye wafa ko khiraj hai badli mein chup raha hai bhala kyon qamar abhi yani ye muztarib si nazar be-sabab nahin khat le ke aa raha hai koi nama-bar abhi 'adil' abhi to aaya nikal kar hai chah se raste pe uljhanon ke nahin panw dhar abhi