guzar gai hai abhi saat-e-guzishta bhi nazar utha ki guzar jaega ye lamha bhi bahut qarib se ho kar guzar gai duniya bahut qarib se dekha hai ye tamasha bhi guzar rahe hain jo bar-e-nazar uthae hue ye log mahw-e-tamasha bhi hain tamasha bhi wo din bhi the ki teri khwab-gin nigahon se pukarti thi mujhe zindagi bhi duniya bhi jo be-sabaati-e-alam pe bahs thi sar-e-bazm main chup raha ki mujhe yaad tha wo chehra bhi kabhi to chand bhi utrega dil ke aangan mein kabhi to mauj mein aaega ye kinara bhi nikal dil se gae mausamon ki yaad 'ajmal' teri talash mein imroz bhi hai farda bhi