dil par yunhi chot lagi to kuchh din khub malal kiya pukhta umr ko bachchon jaise ro ro kar behaal kiya hijr ke chhote ganw se hum ne shahr-e-wasl ko hijrat ki shahr-e-wasl ne nind uda kar khwabon ko pamal kiya uthle kuen bhi kal tak pani ki daulat se jal-thal the ab ke baadal aise sukhe naddi ko kangal kiya suraj jab tak dhaal raha tha sona chandi aankhon mein bhid mein sikke khub uchhaale sab ko mala-mal kiya lekin jab se suraj duba aisa ghor andhera hai sae sab madum hue aur aankhon ko kangal kiya sakht zamin mein phul ugate to kahte kuchh baat hui hijr mein tum ne aansu bo kar aisa kaun kamal kiya aakhir mein 'ansari'-sahab apne rang mein dub gae us ko dua di us ko chheda shahr abir gulal kiya