kise gharaz thi jo hu ki faza mein ja milta talash koi na karta agar khuda milta yaqin hai ki sitare jagah se hat jate qadam jo hum bhi uthate to rasta milta tere khayal mein hoti fida bhi jaan agar tera khayal kabhi to amal se ja milta sukun-e-qalb koi rahguzar ki chiz nahin utha ke le hi na aate agar pada milta hayat-o-ilm-o-nashat-o-malal-o-danish-o-marg bashar ko aur libas-e-bashar mein kya milta sitam hi tha jo kahin marifat mein kho jate janab-e-'najm' kahan aap ka pata milta