bhare hue hain abhi raushni ki daulat se diye jalaenge hum bhi magar zarurat se bahut se khwab haqiqat mein dil-nawaz na the bahut se log chale aa rahe hain jannat se usi nigah se phir tum ne mujh ko dekh liya badan utar kar aaya tha kitni mehnat se yahi ki tu bada khush-haal hai khudawanda zara pata nahin chalta jahan ki haalat se chamakte chand sitaron ko dafn kar aae bujhe charagh ko rakkha gaya hifazat se badan ke taq mein jalte hain bas badan ke dip ye raushni hai bahut kam meri zarurat se phir is mazaq ko jamhuriyat ka nam diya hamein darane lage wo hamari taqat se