main bhi kab se chup baitha hun wo bhi kab se chup baithi hai ye hai visal ki rasm anokhi ye milne ki rit nai hai wo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liya tha bas itni si baat thi lekin badhte badhte kitne badhi hai be-surat be-jism aawazen andar bhej rahi hain hawaen band hain kamre ke darwaze lekin khidki khuli hui hai mere ghar ki chhat ke upar suraj aaya chand bhi utra chhat ke niche ke kamron ki jaisi thi auqat wahi hai