bhari hui hai dil-e-zar mein hawa-e-qafas

bhari hui hai dil-e-zar mein hawa-e-qafas
chaman mein ji na lagega kahin siwae qafas

tere asir-e-sitam hain ye mubtala-e-qafas
kabhi na dekhen su-e-ashiyan siwae qafas

gaya na khar asiri ka dil se ta-dam-e-marg
hazar phulon ke sayyaad ne banae qafas

asir ho ke chhute fikr-e-ab-o-dana se
ziyaada kyun na gulistan se hum ko bhae qafas

na puchh shauq-e-amiri hai kis qadar sayyaad
wo andalib hun dun naqd-e-jaan baha-e-qafas

main hun wo bulbul-e-mahw-e-asiri-e-bedad
rahegi ruh bhi baad-e-fana fida-e-qafas

na bhulte the kisi tarah aashiyan ki yaad
bahut dinon mein hua hun main aashna-e-qafas

sitam bhi lutf se sayyaad ka nahin khali
ki band karta hai phulon se rakhna-ha-eqafas

'qalaq' na shad hue kuchh bhi hum riha ho kar
chaman mein yaad bahut aae aashna-e-qafas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close