kahin sota na rah jaun sada de kar jagao na mujhe in aath pahron se kabhi bahar bulao na khuli aankhon se kab tak justuju ka khwab dekhunga hijab-e-haft-parda apne chehre se uthao na sitare par sitara ok mein bahta chala aae kisi shab kahkashan undel kar mujh ko pilao na jo chaho to zamane ka zamana wazhgun kar do magar pahle hudud-e-jaan mein hangama uthao na subuk-dosh-e-ziyan kar din ziyan-andeshiyan dil ki zara asbab-e-duniya rah-e-duniya mein lutao na liye jate hain lamhe reza reza kar ke aankhon ko nihayat der se main muntazir baitha hun aao na