bhatak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen ye zanjir-e-giran toden hum is pechaak se niklen na maut aae jise aisa koi kirdar ho apna kahani ban ke aisi dida-e-namnak se niklen yahi parcham nishan-e-lashkar-e-baatil na ban jae hum ek khanjar sahi lekin kaf-e-saffak se niklen saba ban kar abhi karne hain tai kitne safar hum ko hum is mitti ki khushbu hain tilism-e-chaak se niklen hamari ham-rahi tak hain sitare hon ki gul-bute zamin par ye ugen ya parda-e-aflak se niklen sar-e-sahra abhi raqs-e-ghubar-e-qais baqi hai abhi kuchh aur lailaen harim-e-khak se niklen janab-e-'ramz' be-masraf rifaqat ka junun kab tak sawad-e-gul mein aap aaen khas-o-khashak se niklen