har-qadam par shauq-e-manzil ki farawani to hai rah-e-dushwar-e-mohabbat mein ye aasani to hai be-shak is jine se mar jaane mein aasani to hai lekin ai dil marzi-e-qatil ki qurbani to hai sach hai shewan se mere un ko pareshani to hai lekin aakhir dard-e-uzr-e-nala-e-samani to hai kaamyabi ho na ho baitha na rah tadbir kar muddaa bas mein nahin hai sai-e-imkani to hai aaj ye taskin kafi hai ki kal roz-e-jaza ruedad-e-zist kah kar dad-e-gham pani to hai han yahan ye hai ki maqsud-o-tamanna sath hain warna ye jannat hamari jaani-pahchani to hai ek zarf-e-dil hai us mein do ki gunjaish kahan dur ai jamiyat-e-khatir pareshani to hai han bure ko bhi na iza de ki us ki zat mein khu-e-insani nahin hai ruh-e-haiwani to hai rahnumai aql se chahi shuru-e-ishq mein afw kar ai be-khudi ye meri nadani to hai dekhiye bazar-e-mahshar mein ye kin damon bike jins-e-gham ki khair se duniya mein arzani to hai aur niklegi koi tadbir pairahan-dari hon jo shal hain hath shauq-e-chaak-damani to hai aaine mein eqtidar-e-husn ki surat kahan aaina rakh de idhar aa meri hairani to hai un ko kya tute kisi ka dil ki ruswa ho koi khush rahen yusuf ki sabit pak-damani to hai kis gharaz se phir gawara kijiye taklif-e-zabt raaz rakh kar bhi mohabbat ki saza pani to hai ahl-e-dil se ye jahan khali bhi rahta hai kahin 'urfi'-o-'ghaalib' nahin 'fani' nahin 'mani' to hai