zindagi roz banati hai bahane kya kya jaane rahte hain abhi khel dikhane kya kya sirf aankhon ki nami hi to nahin mazhar-e-gham kuchh tabassum bhi jata dete hain jaane kya kya khatken is aankh mein to dhadken kabhi us dil mein dar-ba-dar ho ke bhi apne hain thikane kya kya bol padta to meri baat meri hi rahti khamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya shahr mein rang jama ganw mein faslen ujdin hashr uthaya bina mausam ki ghata ne kya kya khwab o ummid ka haq, aah ka fariyaad ka haq tujh pe war aae hain ye tere diwane kya kya