bhatak raha hun ki gir kar sambhal raha hun main kisi tarah se to raste pe chal raha hun main nawazishat ki had se nikal raha hun main hata le hath ki karwat badal raha hun main junun mein aql ki saudagari bhi ki main ne nigah-e-naz se duniya badal raha hun main hawa-e-gham se ghira hai charagh hasti ka sambhaalna ki tere pas jal raha hun main kisi bhi sanche mein qismat na dhal saki ab tak hazar soz-e-tapish se pighal raha hun main wo aa chale wo abhi aae dekh lo 'raazi' zara si der hai ruk jao chal raha hun main