jab se mere raqib ka rasta badal gaya tab se mere nasib ka naqsha badal gaya shirin tha kitna aap ka andaz-e-guftugu do-chaar sikke aate hi lahja badal gaya kis ki zaban se mujhe dekho khabar mujhe kaise mere harif ka chehra badal gaya un ke badalne ka mujhe afsos kuchh nahin afsos ye hai apna hi saya badal gaya jab se badon ki ghar se hukumat chali gai jannat-numa makan ka naqsha badal gaya rahon ki khak chhanta phirta hun aaj tak rahbar badal gaya kabhi rasta badal gaya kahta hai us ke jaane se kuchh bhi nahin hua 'mahtab' jabki dil ka wo dhancha badal gaya