bhaTakta phir raha hun justuju bin

bhatakta phir raha hun justuju bin
sarapa aarzu hun aarzu bin
koi is shahr ko taraj kar de
hui hai meri wahshat ha-o-hu bin
ye sab mojiz-numai ki hawas hai
rafugar aae hain tar-e-rafu bin
maash-e-be-dilan puchho na yaro
numu pate rahe rizq-e-numu bin
guzar ai shauq ab khalwat ki raaten
guzarish bin gila bin guftugu bin