zindagi ka bana sahaara bhi aur un ke karam ne mara bhi ishq hi phir palat ke aa na saka husn-e-maghrur ne pukara bhi kaun duba jo yun pasheman hai mauj-e-tufan bhi tez dhaara bhi hum na duniya ki rah par chalte dil ko hota agar gawara bhi umr bhar tirgi se khele hai koi hansta hua sitara bhi phul rote hain khar hanste hain dekh! gulshan ka ye nazara bhi dil ki duniya to jagmaga utthe 'naqsh' bhadke koi sharara bhi