suraj hai naya chand naya tare nae hain ye kya pas-e-duniya hai jo hum dekh rahe hain mausam to kai aae magar khwab hamare sukhe hue patton ki tarah girte rahe hain har lamha koi int ukhad jati hai jis ki hum log usi diwar ke sae mein khade hain khud apne hi sae ne hamein nicha dikhaya hum sochte the hum sabhi sayon se bade hain wo ek bhanwar sunte hain dilkash hai ghazab ka hain kitne safine jo wahan dub chuke hain rangin dukanon mein saje hain jo khilaune andar se agar dekho to sab tute hue hain 'betab' numayan nahin kuchh aise magar han in lambi qataron mein kahin hum bhi khade hain