na ham-ahang-e-masiha na harif-e-jibril tera shair ki hai zindani-e-gesu-e-jamil kis ki aankhon mein ye ghaltan hai jawani ki sharab khol di aah ye kis ne mai-e-gul-gun ki sabil kis taraf jae kahan jae bata do koi zulf-e-pur-kham ka giraftar nigahon ka qatil aalam-e-yas mein kya chiz hai ek saghar-e-mai dasht-e-zulmat mein jis tarah khizr ki qindil kitni dushwar hai piran-e-haram ki manzil is taraf fitna-e-iblis udhar rabb-e-jalil uf ye tufan-e-nashat aur meri tab-e-hazin aah ye yurish-e-naz aur main majruh o alil aah wo hosh ka aalam wo ghamon ka tufan uf ye masti ki hai phir hosh mein aane ki dalil