bhatke hue aali se puchho ghar wapas kab aaega kab ye dar-o-diwar sajenge kab ye chaman lahraega sukh chale wo ghunche jin se kya kya phul ubharne the ab bhi na un ki pyas bujhi to ghar jangal ho jaega kam kirnen aisi hain jo ab tak rah usi ki takti hain ye andhiyara aur raha to phir na ujala aaega samjha hai apne-ap se chhut kar sara zamana dekh liya dekhna! apne-ap mein aa kar ye kya kya sharmaega aisi gyan aur dhyan ki baaten hum jaane-pahchanon se tu aakhir bhula hi kya tha tujh ko kya yaad aaega kuchh chhote chhote dukh apne kuchh dukh apne azizon ke in se hi jiwan banta hai so jiwan ban jaega chaar baras se begane hain so hum kya begane hain ruthne wala jiwan-sathi do din mein man jaega kis kis rag ke kya kya sur hain kis kis sur ke kya kya rag sikhe na sikhe gane wala be-sikhe bhi gaega 'ali'-ji ab aap chalo tum apne bojh uthae sath bhi de to aakhir pyare koi kahan tak jaega