hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin tumhaari yaad ki jaise kabhi thami hi nahin samaaton mein meri gunjti rahi har dam wo ek baat jo us ne kabhi kahi hi nahin na jaane kis liye us ka hi intizar raha wo ek shakhs ki jis se kabhi mili hi nahin hawa ne jab bhi udaya gai falak ki taraf ajib khak thi jo khak mein mili hi nahin kabhi laga ki bahut tez-rau rahe lamhe kabhi laga kai sadiyon se main chali hi nahin kali bhi dil mein mohabbat ki ek hansi thi magar kabhi wo bagh-e-tamanna mein to khili hi nahin main ek safir hun 'raziya' gudaz lahjon ki khafa kisi se kabhi der tak rahi hi nahin