jaana mujhe kidhar tha kis samt chal raha hun ek umr main tumhaara nemul-badal raha hun jalte hain log tapte suraj ki raushni se main ru-siyah kab se zulmat mein jal raha hun utra tha chand meri khwabon ki anjuman mein main us ghadi se ab tak aankhen masal raha hun ab tak basi hui hai khushbu mere badan mein kahte hain is se baham do-chaar pal raha hun shatir hai waqt dekho kya chaal chal gaya hai jis ki hai aaj duniya main us ka kal raha hun mere qadam ba-zahir aage ko badh rahe hain lekin haqiqatan main din raat dhal raha hun uth kar gira hun aksar chahat ki justuju mein gir kar main 'abdi' ab phir se sambhal raha hun