masruf rahguzar pe chala ja raha tha main phir kyun laga ki sab se juda ja raha tha main tamir-e-zat hi mein lagi zindagi tamam khaliq bana raha tha bana ja raha tha main hasil thin jin ko rahaten wo bhi fana hue kyun apni muflisi se dara ja raha tha main dariya-e-zist ki yahi manzil thi aakhiri ek bahr-e-be-karan mein gira ja raha tha main samjha tha aaine mein mera aks hi nahin zahir tha aur sab se chhupa ja raha tha main pahle to ku-e-yar ki phir dar ki talab daldal mein khwahishon ki dhansa ja raha tha main main gard-e-rah tha magar eajaz dekhiye har karwan ke sath uda ja raha tha main rukne mein dar ye tha ki tawazun bigad na jae 'adil' isi guman mein chala ja raha tha main