bhid mein bhi main hi nikla aap apna aashna aaina-khane mein hoga kaun kis ka aashna rang us ka dhul gaya to odh li main ne naqab jo tha dushman mera kal tak aaj nikla aashna puchhta hai aksar aaine se wo apna pata jis ne dar par apne likkha tha zamana-ashna ab to bas rahta hai meri aahaton ka muntazir ho gaya hai pas ke ghar ka daricha aashna tishnagi apni bujha li us se sahra ne 'salim' ho nahin paya samundar se wo dariya aashna