mera wajud 'azabon ki dhup-chhanw mein tha zamin ki qaid se nikla to main khalaon mein tha pila ke zahr andhere ka pi gaya amrit libas-e-khizr mein jo shakhs rahnumaon mein tha waraq ulat de kabhi hans ke chhin le wo kitab usi ka rang nai mausami hawaon mein tha thahar ke dam na le har samt hain sarab yahan hua hai zard wo pauda jo sard chhanw mein tha nadi pe khet mein panghat pe har jagah maujud usi ke sath raha jab 'salim' ganw mein tha