raha wo shahr mein jab tak bada dabang raha magar khud apne khilaf aap mahw-e-jang raha hui jo subh to be-barg-o-bar the ashjar tamam raat hawa ka ajib rang raha ana pasand tha baisakhiyon ko chhuta kyun raha wo sarkash-o-baghi magar apang raha ba-juz darid-o-burid aur kya hai us ka maal wo phir bhi dor se tuti hui patang raha siyah jazira samundar mein aaftab-ba-dast zamin se tut gaya aur zamin ka ang raha diya hai us ne hamein ek shor-e-be-ahang hazar sal jo daur-e-rabab-o-chang raha ye aaina raha khatt-e-shikast se mahrum 'salim' mahw-e-gham-e-intizar-e-sang raha