har ek zarra bar-e-amanat se dar gaya ek main hi tha ki tere muqabil thahar gaya har chiz jal gai thi ba-juz chashm-e-intizar auron ke ghar bujha ke jo main apne ghar gaya is daur-e-intishaar ka ye bhi hai hadisa tahzib zinda rah gai insan mar gaya wo bhi kabhi tha apne qabile ka aadmi kal teri anjuman se jo ba-chashm-e-tar gaya tum muskura ke ek taraf ho gae magar ilzam sara zulf-e-pareshan ke sar gaya ab tak bhi jis ko pane ki 'nayyar' hai aarzu wo lamha-e-aziz na jaane kidhar gaya