dil badalte nahin lainon ke qisse sab ek hain zaminon ke mauj-e-dariya pukarti bhi kise gum hain nam-o-nishan safinon ke hum hi the yaadgar shorafa ke ban gae hum hadaf kaminon ke sarsaraate hain zehn mein ab ke kya hue khauf aastinon ke ab khandar bolne lage hain 'nasim' koi waris nahin makinon ke