bhuk iflas se tahzibon ke dil bojhal ho jate hain khet ujad jaen to baste aangan jangal ho jate hain waqt ka tapta suraj sar par aa kar jab bhi chamakta hai dariya se insan aksar kichad daldal ho jate hain jis mitti ki god se mausam ped samar chhin jaen wahan insan titli aur parinde sab pagal ho jate hain main ne ghurbat aur majburi dekhi hai main jaanta hun kaise dhup ke manzar mein gile aanchal ho jate hain tum hote ho sath mere jab koh-e-giran se mausam mein yun lagta hai bojhal din udte baadal ho jate hain