shab samne khadi hai ujalon ka qad badha dushman badhen to chahne walon ka qad badha pine ke sath sath badhegi ye pyas aur sahba ko tez kar ke piyalon ka qad badha apni hudud-e-nur ko paiham wasia kar tu chand ban chuka hai to haalon ka qad badha dekha unhen to apni nigahen sanwar gain un se jo baat ki to khayalon ka qad badha tujh ko agar lahu ki hifazat aziz hai apni ghiza mein pak niwalon ka qad badha tiflana shokhiyon ka tujhe kya jawab dun baaligh ho aur apne sawalon ka qad badha teri baqa hai tere hunar hi mein ab 'qamar' jada-ba-jada apne kamalon ka qad badha