charagh-e-khana-e-dil ko supurd-e-baad kar dun ye qaidi bhi kisi ke nam par aazad kar dun bahut hum se gurezan ye zamin o aasman hain ijazat ho to ek duniya nai aabaad kar dun jidhar niklun sawad-e-hijr hi ka samna hai koi surat yahan bhi wasl ki ijad kar dun mere mayus rahne par agar wo shadman hai to kyun khud ko main us ke waste barbaad kar dun bahut chehre nigahon mein ubharte dubte hain agar kuchh der ko raushan charagh-e-yaad kar dun bahut din se musir is baat par wo mehrban hai ki main dil ko rahin-e-sohbat-e-na-shad kar dun