hum ko yaad-e-yar mein hasil jo tanhai hui tut kar barsi ghata jo dil pe thi chhai hui zindagi jab se teri meri shanasai hui tu tamasha ban gai aur main tamashai hui aaenge sawan mein sajan le ke aai hai nawed be-wajh phirti nahin purwai baurai hui aap itna to samajhne ki kabhi zahmat karen aap ki bhi meri ruswai se ruswai hui jag utthe aaj lo phir ishq ke soe nasib zindagi phir aaj us but ki tamannai hui chhup gae hain mah-o-anjum har taraf hai khamushi aa bhi ja ai yaad-e-rafta ab to tanhai hui is qadar mazbut hai aain-e-ulfat ki giraft kah nahin pati zaban par baat bhi aai hui raat aae to na jaane kis tarah guzre 'nazar' hai tabiat sham hi se aaj ghabrai hui