bhul jaun tujhe aisi koi tadbir nahin

bhul jaun tujhe aisi koi tadbir nahin
aur pa lun tujhe aisi meri taqdir nahin

sun to leti hai mere gham ka fasana mujh se
shukr hai teri tarah se teri taswir nahin

ya to ab tera tasawwur bhi khafa hai mujh se
ya meri aah mein wo pahli si tasir nahin

dil-shikan khat pe bhi dil chah raha hai ai dost
jhut hi koi kahe ye teri tahrir nahin

us ke kuche ko main chahun bhi to chhode na bane
aur kahne ko mere panw mein zanjir nahin

karwan zist ka lut kar sar-e-manzil pahunche
ye mere khwab ki tazhik hai tabir nahin

soz ulfat ka nigahon se ayan hota hai
ye fasana kabhi minnat-kash-e-tafsir nahin

dil ko milti hai usi tir-e-nazar se rahat
jis se zahrila zamane mein koi tir nahin

ai 'zafar' hasil-e-ulfat hain ye mere aansu
ye alag baat ki in taron mein tanwir nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close