gesuon ke asir hain hum bhi

gesuon ke asir hain hum bhi
qissa-e-dil-pazir hain hum bhi

husn mein tum sa gar nahin koi
'ishq mein be-nazir hain hum bhi

misl-e-shirin agar hasin ho tum
khaliq-e-jue-e-shir hain hum bhi

us ke hathon mein jo nahin milti
ek aisi lakir hain hum bhi

chand ko dekh kar kaha us ne
rashk-e-badr-e-munir hain hum bhi

be-wafa se koi gila na kiya
kis qadar ba-zamir hain hum bhi

aansuon ke diye jalate hain
raushni ke safir hain hum bhi

wo kahin bhi hon dekh lete hain
kitne raushan-zamir hain hum bhi

jis ki nazron mein kuchh nahin shahi
ek aise faqir hain hum bhi

koi hum sa nahin zamane mein
aap apni nazir hain hum bhi

pas daulat nahin to kya yaro
apne dil ke amir hain hum bhi

narm dil hain magar 'adu ke liye
ek zahrila tir hain hum bhi

muttahid aaj hum nahin yaro
yun jahan hain haqir hain hum bhi

nazm-e-gulshan badal to sakte hain
maslahat ke asir hain hum bhi

she'r pur-dard hain 'zafar' apne
is zamane ke 'mir' hain hum bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close