chaak-e-jigar-o-dil ka jab shikwa baja hota yusuf ka zulekha ne daman to siya hota sahta hun sitam us ke ehsan hai duniya par gar main na wafa karta kya jaaniye kya hota tum aur adu donon ek jaan do qalib ho main tum se agar milta wo kyun ki juda hota mahrumi-e-talea se hoga na ye din warna main tum ko dikha deta gar roz-e-jaza hota yan tark-e-wafa mushkil tum kyun ki sitam chhodo jo kuchh na hua mujh se wo aap se kya hota ai kash tum aa jate aghyar hi ko le kar kuchh umr to ghat jati go ranj siwa hota karte hain wo chaar aankhen yun mil ke qayamat mein goya ki hai farda ka ab wada wafa hota dhoke mein na rahna tha yakbar na kahna tha kuchh lab pe gila late kuchh dil mein rakha hota hoti hai shab-e-wada jab yas to main dil se na-chaar ye kahta hun wo aate to kya hota mai-khane se mai 'salik' pite hue ghar jaana bazar hai ye hazrat kuchh pas kiya hota