bhul kar tujh ko bhara shahr bhi tanha dekhun yaad aa jae to khud apna tamasha dekhun muskuraati hui in aankhon ki shadabi mein main teri ruh ka tapta hua sahra dekhun itni yaaden hain ki jamne nahin pati hai nazar band aankhon ke darichon se main kya kya dekhun waqt ki dhul se uthne lage qadmon ke nuqush tu jahan chhod gaya hai wahi rasta dekhun yun to bazar mein chehre hain hasin ek se ek koi chehra to haqiqat mein shanasa dekhun