dil koi aaina nahin tut ke rah gaya to phir thik hi kah rahe ho tum thik na ho saka to phir us ko bhulane lag gae is mein zamane lag gae baad mein yaad aa gaya wo koi aur tha to phir phul hai jo kitab mein asl hai ki khwab hai us ne is iztirab mein kuchh na padha likha to phir raste ajnabi se the ped the so kisi ke the ye koi sochta to kyun aur koi sochta to phir ab use khwab jaan ke so raho lambi tan ke yaad na aa saka to kya yaad bhi aa gaya to phir