humse mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai

hum se mat puchho ki ek wo chiz kya donon mein hai
jo milata hai hamein wo fasla donon mein hai

us ke milne ki khushi ho ya bichhad jaane ka gham
hosh rahta hi nahin aisa nasha donon mein hai

us ki aankhen kan hain aur meri aankhen bhi hain hont
apni apni kahne sunne ki ada donon mein hai

git ke sanche mein dhaalun ya ghazal ke rup mein
par tere hi nam ka ek qafiya donon mein hai

yun kisi aawaz ka chehra nahin hota magar
jis mein aawazen dikhen wo aaina donon mein hai

is ko aastikta kaho chahe nastikta 'kunwar'
donon khat us ke hi hain us ka pata donon mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close