jahan bhi hum thahar gae maqam bolne lage mohabbaton ki boliyan awam bolne lage sar-e-ghurur kham nahin koi kisi se kam nahin sikandaron ke samne ghulam bolne lage suni jo jae aankh se wo jism ki zaban hai hazar lab khamosh hon khiram bolne lage koi bhi shakhs-e-be-adab wo din nahin hai dur jab junun mein apne aap ko imam bolne lage saja wo jab dukan par mataa-e-am jaan kar nae amir bad-mizaj dam bolne lage mufakkirana ek nazar jo dalun kaenat par khat-e-shikasta mein likha kalam bolne lage hayat-bakhsh aab ko miyan 'shafaq' sharab kar chakhe baghair aap bhi haram bolne lage