qadam yun be-khatar ho kar na mai-khane mein rakh dena bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrane mein rakh dena suna hai hazrat-e-waiz idhar tashrif laenge zara us kasa-e-gardun ko mai-khane mein rakh dena buton ke dil mein yun shayad khuda ka khauf paida ho ye mere dil ke tukde ja ke but-khane mein rakh dena yahan ai dil farishton ka bhi zohra aab hota hai qadam aasan nahin ulfat ke virane mein rakh dena chala hai ghar ko diwana uda kar khak sahra ki ghubar-e-khatir-e-ahbab kashane mein rakh dena ziyarat ko wo dasht-e-najd ka jaan-baz aaega zara dam-bhar ko meri nash virane mein rakh dena ba-faiz-e-hazrat-e-naseh hui taufiq tauba ki mera jam-e-shikasta un ke shukrane mein rakh dena munafi tha ye ai mansur dastur-e-amanat ke kisi ki baat ko yun apne begane mein rakh dena pilai hai jo 'wasif' ko mai-e-mard-azma saqi to kuchh shan-e-khudi bhi apne diwane mein rakh dena