bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak sag bhi na us ka aaya meri ustukhan talak go hum qafas se ja na sake bostan talak ud ud ke rang-e-chehra gaya par wahan talak bulbul hujum-e-gul hai chaman mein yahan talak phulon se chha gaya hai tera aashiyan talak kab pahunchi aah zoaf se gosh-e-butan talak sau ja thahar ke sine se aai zaban talak parwaz pesh azin thi meri aasman talak ab to chaman se ja na sakun aashiyan talak aisa kiya zaif gham-e-intizar ne aankhon ko meri bar hai khwab-e-giran talak aalim hun ilm-e-ishq ka main kar na ham-sari ai andalib tu hai padi bostan talak us mah ke wasf se ye hua martaba buland pahunchi meri ghazal ki zamin aasman talak pas-e-adab raha hai junun mein bhi is qadar aata hun sajde karta tere aastan talak us mast ke hain gesuon ke silsile mein hum saqi murid jis ka hai pir-e-mughan talak rakkhen adab se panw na hum teri rah mein bahar jab aap se hon to pahunchen wahan talak fasl-e-khizan mein gul ka to aana muhaal hai bijli hi kash aae meri aashiyan talak kyunkar na sar phire mera us tegh ke liye gardish si justuju mein hai marg-e-nishan talak sau bar apni fikr adam se pare gai lekin na pahunchi yar ke mu-e-bayan talak us hur ka makan hai jannat se bhi pare rizwan pahunch sake na kabhi pasban talak is darja fart-e-zoaf se hum pichhe rah gae pahunchi na aah bhi jaras-e-karwan talak dil mein hamare us ki mohabbat ne ghar kiya pahuncha hai is makan se jo la-makan talak allah re dimagh zara dekh ai huma aaya na be-talab sag-e-yar ustukhan talak us mah ne jo sar mera thukraya panw se pahuncha dimagh aaj mera aasman talak nakhl-e-murad-e-yar hua aaj barwar sad shukr kat ke sar mera pahuncha sinan talak phir jae tir aa ke wo bargashta bakht hun rukh phere dekh kar mujhe us ki kaman talak marne ke baad hai sag-e-jaanan ka intizar kah do huma na aae meri ustukhan talak sau bar aa ke maut bhi furqat mein phir gae bargashtagi nasib ki kahiye kahan talak 'goya' ye na-tawani ka ehsan mujh pe hai aane diya na yar ka shikwa zaban talak