fasl-e-gul kab luti nahin malum kab bahaar aai thi nahin malum hum bhatakte rahe andhere mein raushni kab hui nahin malum kab wo guzre qarib se dil ke nind kab aa gai nahin malum dard jab jab utha hua mahsus chot kab kab lagi nahin malum bebasi jis ki zist ho us ko zist ki bebasi nahin malum naz sajdon pe hai hamein lekin nazish-e-bandagi nahin malum apni haalat pe tere wahshi ko kyun hansi aa gai nahin malum hosh aaya to mai-kada na raha hae kis waqt pi nahin malum meri jaanib wo dekh kar bole hai koi ajnabi nahin malum daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal' kaun hai aadmi nahin malum