jo hain mazlum un ko to tadapta chhod dete hain ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhod dete hain ana ke sikke hote hain faqiron ki bhi jholi mein jahan zillat mile us dar pe jaana chhod dete hain hua kaisa asar masum zehnon par ki bachchon ko agar paise dikhao to khilauna chhod dete hain agar malum ho jae padosi apna bhuka hai to ghairat-mand hathon se niwala chhod dete hain mohazzab log bhi samjhe nahin qanun jangal ka shikari sher bhi kawwon ka hissa chhod dete hain parindon ko bhi insan ki tarah hai fikr rozi ki sahar hote hi apna aashiyana chhod dete hain tajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein qalam bik jaen to sach baat likhna chhod dete hain