dastak na koi dar pe na mehman ki tawaqqo

dastak na koi dar pe na mehman ki tawaqqo
ab chhut gai mahfil-e-yaran ki tawaqqo

sham aai ki phir bujhne lage chand sitare
phir mand hui jashn-e-charaghan ki tawaqqo

har samt bas ab sukhe shajar hanp rahe hain
aise mein kare kaun bahaaran ki tawaqqo

sine mein sajae hain tere zakhm ke bute
marham ki tamanna hai na darman ki tawaqqo

hai ab bhi mujhe tere palat aane ki ummid
ab tak hai mujhe wada-o-paiman ki tawaqqo

bas aakhiri ummid ki manind bachi hai
dil ke kisi kone mein teri han ki tawaqqo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close