bhulata hun magar gham ki darakhshani nahin jati wo aaina muqabil hai ki hairani nahin jati nigah-e-shauq se ta-der hairani nahin jati shabab aaya to zalim shakl pahchani nahin jati tujhe dekhun ki tere iltifat-e-narm ko samjhun mohabbat bhi tere jalwon mein pahchani nahin jati sahab o sail dho sakte nahin gard-e-falakat ko bahaar aai magar duniya ki virani nahin jati kahan tak sath de sakti hain aankhen sozish-e-dil ka bahut roya magar gham ki giran-jaani nahin jati jawani ko gunahon se alag karna nahin mumkin ye wo mai hai jo fart-e-kaif se chhani nahin jati mohabbat tar-tar-e-pairahan kar apne kanton se ki in phulon se meri tang-damani nahin jati 'nushur' is waqt bhi duniya asir-e-mulak-o-daulat hai abhi fikr o nazar ta-hadd-e-insani nahin jati