hujum-e-yas mein bhi aas jawedan thahri ye apni dharti ki bu-bas-e-be-karan thahri wo rokte rahe mulkon ki sarhadon ke pare kashish dilon ki to purwai thi kahan thahri ummid-o-bim mein kitne kanwal hue raushan tumhaari chashm-e-taghaful jahan jahan thahri numud-e-fikr ne kitne banae ret pe naqsh main kya karun ki ye taswir be-zaban thahri har ek kasa-e-sar hai faqir ka piyala zaban sawali-e-bekas to be-zaban thahri wahi hayat jo sab ke liye thi rahat-e-jaan wahi mere liye ek marg-e-be-aman thahri kahin ifada kahin mol-tol ki baaten ye fikr-e-nau to kisi baniye ki dukan thahri