chhup ke duniya se sawad-e-dil-e-khamosh mein aa aa yahan tu meri tarsi hui aaghosh mein aa aur duniya mein kahin tera thikana hi nahin ai mere dil ki tamanna lab-e-khamosh mein aa mai-e-rangin pas-e-mina se ishaare kab tak ek din saghar-e-rindan-e-bala-nosh mein aa ishq karta hai to phir ishq ki tauhin na kar ya to behosh na ho ho to na phir hosh mein aa tu badal de na kahin jauhar-e-insan ka bhi rang ai zamane ke lahu dekh na yun josh mein aa dekh kya dam lagati hai nigah-e-'mulla' kabhi ai ghuncha-e-tar dast-e-gul-afrosh mein aa