dil gaya dil se dil ki baat gai wo gae lazzat-e-hayat gai ghunche afsurda phul pazhmurda fasl-e-gul jaise un ke sat gai un ke jalwe nigah mein na rahe raunaq-e-bazm-e-kaenat gai dil-e-nadan ko lakh samjhaya kuchh na samjha ye sari raat gai saya-e-zulf mein jo guzri thi kaun jaane kidhar wo raat gai uth gaya parda-e-ajal jis dam ek hayat aai ek hayat gai 'shauq' bazm-e-jahan ki raunaq hai ye gaya ruh-e-kaenat gai