khayal-o-khwab ki duniya nahin sanjone ka udhaar mang ke ruswa na ab ke hone ka koi to aaega surkhi ka aib batlane lahu ke dagh bhi chehre se ab na dhone ka mohabbaton mein mohabbat ki koi aas na rakh ye karobar to pane ka hai na khone ka bichhadte waqt jo talqin bhi na kar paya phir us ki yaad mein aanchal nahin bhigone ka lo dekh lo wahi sahil pe aa ke dube hain jinhen tha shauq bahut kashtiyan dubone ka wo hum ki nindon ko aankhon se dur kar dala tumhein khayal raha odhne bichhaune ka